Mohabbat Ka Ek Usool Hai
Jab Ye Dene Par Aati Hai
To Dilon Ki Saltanat Saunp Deti Hai
Badshahat Naseeb Kar Deti Hai
Lekin Jab Yahi Mohabbat
Apne Hone Ka Kheraj Bhi Mangti Hai
To Lamhe Mein Khaak Kar Deti Hai
Saans Tak Cheen Leti Hai
Main Bhi Mohabbat Mein Sirf Leti Rahi
Haq Samajhti Rahi
Aur Mohabbat Ko Kabhi Samajh Hi Na Saki
Aur Jabtak Samajh Aayi
Tabtak Mohabbat Ke Sath Sath Wajood Bhi Khaak Ho Gaya
Dekha Hai Maine Iss Duniya Ka Riwaj E Ishq
Jahan Aam Se Khaas Ho Jate Hain
Phir Khaas Se Khaak.
By Girlish Beginning ❤️
Article 2. Daraaz Palkein Wisaal Aankhein (Urdu Poetry)
Article 3. Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par (Urdu Poetry)
0 Comments