Gungi Ho Gayi Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte (Poetry) By Allama Iqbal
Urdu Poetry Is An Ancient Tradition. It Has Many Different Types. It Is Considered As An Important Element Of Our Culture. It Is A Best Way To Express Feelings Of Love, Pain,Anxiety And Suffocation.A Poet Interprets His Inner Feelings And Condition Through His Words.
Gungi Ho Gayi Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte,
Hichkicha Gaya Khud Ko Musalman Kehte Kehte,
Ye Baat Nahi Ke Mujhko Us Par Yaqeen Nahin,
Bas Dar Gaya Khudko Shaheb E Imaan Kehte Kehte,
Taufiq Na Hui Mujhko Ek Waqt Ki Namaz Ki,
Aur Chup Hua Moazzin Azaan Kehte Kehte,
Kisi Kaafir Ne Jo Pucha Hai Konsa Mahina,
Sharam Se Paani Gir Gaya Hath Se Ramzan Kehte Kehte,
Meri Almari Mein Garde Se Atti Kitab Ka Jo Pucha,
Main Gad Gaya Zameen Mein Quraan Kehte Kehte,
Ye Sun Ke Chup Saadh Li Iqbal Usne,
Yun Laga Jaise Ruk Gaya Wo Mujhe Haiwan Kehte Kehte.
By Allama Iqbal
Girlish Beginning ❤️
0 Comments